"Poetry & A Poet" By Osheen Khan

Poetry kya hai, Sirf wo ehsaas jo kabhi real life me jee liya ho ya phir jo mehsoos kiya ho virtual life me ya keh sakte hai visualized ho.
Ek Poet apne dil ki baato ko paper per likhta hai bahut hi sundar tarah se jisse logo tak uski baat bhi pohach jaaye aur tamaam logo ko usme maza bhi aaye.
Writer/Shayar/Poet in teeno me dekha jaaye to koi fark nahi hota hai.
"Writer" sirf likhta hai sehej tarike se aur apne mann ki baato ko ek sentense me tabdeel kar deta hai. wo sochta nahi ki kya likha ya ya nahi jo mann me aaya kisi cheez , kisi nazare ya kisi kaam ko dekhker wo bas use apne tarike se likh deta hai. 
Wahi "Shayar" usme thodi nazakat add karta hai, "ab yaha per nazakat se matlab sirf urdu language se hi nahi hai, bahut saare log sochte hai ki urdu me shayari ya nazm ya poetry likhi jayegi to wo uth kar dikhegi to nahi aisa nahi hai nazakat lafzo me hoti hai chahe wo kisi bhi laguage me kyo na likhi hui ho." aur Apni baato ko behtareen tarike se saamne wale ko paish karta hai.
"Poet" Ya jise hum kavi bhi kehte hai wo apni writing me rhymes ka sahara lete hai aur poori ek choti si kahani apne poetry ke zariye paish kar dete hai logo ke saamne. poetry itni saral hoti hai ke logo ko aasani se samajh aaye auritni difficult honi chhaiye kilogo ko dhyaan dil se sunna pade.tab jaker ek poet jo aam (normal) insaan hota hai use log writer/poet/shayar ka khitaab de dete hai.

Comments

  1. I want To share my writeup in your blog...can i?

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts