Armaan Malik Career Journey

Armaan Malik Bollywood ke youngest singers me ek hai. jisne apne career ki shuruaat bahut hi choti age se kar di thi. sabse pehle wo sa re ga ma pa li'l champs me as a contestent aaya tha aur phir wahi se uski singing journey start hui aur growth ki.

sa re ga ma pa pe aane se pehle hi armaan malik ko bhootnaath me "mere buddy" song mil chuka tha jisme usne amitabh bachchan ke saath duet kiya. aur whaa se uska ganaa bollyeood me aaya. uske pehle wo ek aur gaana gaa chuka tha bollywood me "jab ye sitaare" from movie "kachcha limboo".


Uske baad armaan ne apna ek album relaease kiya. jaha pr uska bhai amaal malik composer hai to dono ne milkar ek album Armaan Malik ke naam se Realease kiya. aur us album ko average se thoda behtar response bhi mila. 
lekin armaan ki khwaabish itni pr nahi ruki. ek din Salman khan ne jab armaan ke album ke song me se ek song ko apni movie me laane ka socha aur wo song tha. "tumko to aana hi tha"

aur ye song armaan malik ka jai ho movie me extra ke taur per dala gaya.

ye ek aur shuruaati point ban chuka tha armaan malik ke liye.


Uske baad jai ho ke title song me bhi Armaan ne apni Voice di.
Phie uska Song "Main hoon hero tera" Hero movie me aaya.
Is gaane ke baad Armaan ka ye song itna zyada famous hua ki har jagah sirf yahi song sunaayi deta tha. Radios per Television pr, aur ye romantic song ne armaan ki awaaz ko ek nayi pehchaan di.
lekin armaan malik ki pehchaan is awaaz se nahi ho paayi. sabko us gaane ke baare me pata tha lekin yekisne gaya chehra nahi jaanta tha koi.




Tab armaan aur uske bhai amaal ne ek album banaya jisme 
armaan ne saamne khud kodikhaate hue main hoon hero 
tera ka single relaes kiya.
aur iske baad ek ke baad ek hit romantic , love song dete 
hue armaan maik ban gaya is bollywood singing industry 
and uske fans khud ko armaanians kehker bulaane lage.
Armaan ki journey bahut hi inspired rahi hai.


Osheen's Feelings
Aur main Osheen khan Uski Biggest fan me se ek hoon.
Uske kaamo se seekhti hoon. aur usse inspired hoti hoon.

Comments

Popular Posts