Online Quiz Contest and Exams for Get Prices and Honors
Jab se Digital world ka daur aaya hai, har kaam ko karna aasan ho gaya hai ye ham sab jaante hai, lekin is facility ka poora poora fayda har koi nahi uthata hai iske reasons bahut saare ho sakte ho, jiinme se ek reason ye hai ki logo ko aam-taur per pata hi nahi hota ki digital world actual me kya hai, online kya hai aur iske kyaa kyaa fayde hai.
Aaj isi se related ek information "Lyrical MS OK" aapke saamne leker aaya hai, Jo hai Online Quiz ya jise online contest bhi kehte hai.
pehle ke zamane me jab kisi cheez ka logo ya nayi cheez ki zarorat padti thi to us ko normal person ke saamne ek contest ke roop me rakha jata tha ki jo behtar banayega usko price milega. lekin ye news har ek insaan tak nahi pohach paati thi, jo ki aaj mumkin hai Internet aur digitally.jaise pehle jab indian currency (rupees) ka icon change hona tha us waqt ek contest rakha gaya tha jo kaphi logo tak nahi pahuch paya iska reason tha ki hum internet ka use fb and whatsapp se zyada krte hi nahi hai zyadatar.
aaj aise hi kuch websites ke naam yaha per show kiye ja rahe hai jaha per aap aise quiz and contest me online participate kr sakte hai aur usse reward bhi le dakte hai.
Sabse pehle baat karte hai My Government website ki. Ye Website India govt. ki hai. jaha per regularly quiz update hote rehte hai. aap chahe to yaha per account banaker apne according quiz dekh sakte hai aur agar aapko lagta hai ki aap us topic me behatareen hai to us contest me participate kr sakte hai.Is Website per abhi current me Logo and Tagline Design Contest Mahatma Gandhi ko Yaad karte hue rakha hai.
Bahut jald GSDS ki Taraf se Multiplayer Mahatma Gaandhi Mobile Quiz App laya jaa raha hai. jiske moto mahatma ki knowledge se jodna aur user engagement increase karna hai.
GSDS ne ye competetion is App ke Logo ya tagline ke diya hai.
Tagline ki limit 6 words ki rakhi gayi hai.selected best Logo Design ko 25000 INR aur Tagline Ko 15000 INR ke prizes diye jayenge.contest me register karwane ki last date 15 september 2019 hai.Ek participant kewal ek hi baar apna work submit kar sakta hai.
Tagline ki limit 6 words ki rakhi gayi hai.selected best Logo Design ko 25000 INR aur Tagline Ko 15000 INR ke prizes diye jayenge.contest me register karwane ki last date 15 september 2019 hai.Ek participant kewal ek hi baar apna work submit kar sakta hai.
Agar Aap ko bhi logo design ya kuch creativer krne ka shouq hai to is website per jaker aap apna registration karwa sakte hai aur contest me participate kar sakte hai.
2. All India exams:
Ye ek bahut hi achchi website hai har tarah ke students ke liye chahe wo kisi bhi course ya kisi bhi field ka knowledge kyo na rakhte ho.
Is website pr har tarah ke quiz available rehte hai jaise:
- Apptitude
- Bank
- Engineering
- English
- GK
- Interview
- Online test
- Placements Papers
- Reasoning
- Logical reasoning
- Computer Programming Languages
- Computer
- IT Course Quiz
3. AdyTude:
Ye Ek survey game hai jaha aap survey karke rewards jeet sakte hai. kisi bhi ek topic ko select karke aap us per daily survey karte hai aur aur unke questions ke answers dete hai is tarah se aapke paas points add hote hai jo actual money me convert hote hai.
is site ko mene personally use ni kiya hai, lekin is tarah ke work hote hai survey wale ye mujhe pata hi, jisme wo apne site ki traffic badane ke liye is tarah ke games and quiz rakhte hai ek tarah se wo marketing ka zariya hai, jise wo players ko paise dete hai na ki kisi marketing agencies ko.
Toh agar aap chahe to free time ye survey krke bhi radeem rewards le sakte hai
Aise aur bhi sites Google pr registered hai.
Isi tarah aur bhi Websites hoti hai jahan aap khud free register krke quiz and contests me participate kar sakte hai, isse ek fayda ye bhi hota hai ki aapki skills bhi growth hoti hai and aapko exams face karne ki techniques bhi samajh aati hai, aur reward bhi le lete.
isi tarah kuch organisation certificates bhi provide karte hai aap google per search krenge to bahut sare aise sites aapko mil jayegi.
pehle is baare me knowledge nahi hogi sabko, lekin ab shayad aapke kaam ayaa hoga ye article.Comment box me reply zaroor dena ki ye article me kya mistake thi , kya sahi laga, kya galat laga, useful laga ya nahi, aur agar kuch aur information chahiye ho to wo bhi is cmnt box me daliye taki mujhe feedback mil sake aur uske according apna work kr sakoon.
Comments
Post a Comment