Apne: Ek Sach
Wakai Apno se badhkar koi nahi, lekin is duniya me apna bhi har koi nahi!
Hum maan lete hai har ek pehchaanne wale ko janne wala aur jaane wale ko apna, per wo apna to nahi hota, agar kahi usme aapke liye jalan ho, to wo bhala kaise apna?aapke liye bure khyaalaat ho to bhala wo kaise apna?
tum paak ho to har ek paak saaf samajh aata hai, lekin asal samjhdaar hi ise samajh paata hai, !
sirf parivaar ka hi saath, saath hota hai...baaki sab rehne ke liye chote se tinke jaisa sahara...jiski zaroorat to nahi jab parivaar ki jade ho lekin ek interest ke liye use accept kr lete hai insaan!
Har rishta limitation tak hota, ya kahe to limited hota hai, uper se kuch aur ander kuch aur hi hota hai!
Khuda aise chehro se hm sabko mehfooz rakhe, bas vishwaas ab har ek pr nahi hota hai...
in beete saalo me asal logo ko janna aaya, shuruaat hui hai abhi to bahut kuch seekhna hai...!
Aisa nahi ki log sirf bure hi hai, jinhe bahut achcha samjha...nahi! kuch achche bhi hai jinhe thoda bura samjha..!
Jannne pehchanne , samajhne me galtiyaan bahut ki hia, shukar hai kabhi mushkil bas nahi hui hai.
abhi bhi har ek ko parakhna hai aur bas samajhna hai khud ki baatein
khud se karke khud hi me dafan karna hai, Nahi koi dooja is kaabil ki samajh paaye ek doosre ko, Haan! Family word in sab me include nahi ho sakta kyonki main to unse hi hoon, aur keh sakte hai ki main wahi hoon aur wo main hi hoon..!
kyonki main to unse hi bani hoon!
Jo baate mere rooh ko pata hai wo mere kahe bina hi unhe pata chal jaani hai, Jo aane wala hai wo bhi inhi me shaamil hona hai, InshaAllah!
Sirf maine meri family ki baato per dhyaan deker unke bataye sahi raah per chalna hai.
Allah se dua hai ki wo hamesha hi mujhe nek raah pr chalaye.
Buri nazar, Bure log, Buri raahein har ek se mehfooz rakhe hame.
Ameen!
Wakai doosro ko dukh pohchaker sukoon nahi hota, agar sach me kahi ki kisi insaan ki wajah se hurt hota.
Iraada wo nahi, kaam beiraada ho jaata hai, us waqt sukoon bhi kahi kho jaata hai...!
Jis pr aaj yakeen hai ho sakta hai kal bharosa toot jaaye, kyonki kal jin pr yakeen tha unhone to baar baar bharosa todker , trust na karne per majboor kr diya.
Wo khuda karm karne wale ko nawazta hai, kisi ko bhi shohrat yooun bheekh me nahi milti.
Takleef , dukh, dard deker wo hame kamzor (mitti) se mazboot (loha) bana deta hai, Jise aksar insaan khud me jung lagaker bematlab ho jaata hai.
Jo dil me aaya ikh daala, pata chal jaata hai kiinsaan kya chahta hai...!
Written By "Oshi" Osheen Khan
Comments
Post a Comment