Karam
Jo Bhi Achcha Hua
Imtihaan Zindagi Ka Sachcha hua
jo nahi chaha tha wo bhi hua
pr jo hua wo na hone se bhut behtareen hua
Chahe jo kuch ho, bas apne mann se kehti hoon main
kuch socha hai to us pr sthir rahiye
ghar ghar nahi rahe
ye kahawaat galat lagti hai
jab bhi apne ghr ko dekhti hoon
Komal dhoop ka sparsh mila jab
murjhaaya rang bhi nikhar gaya
Ek aisa sukoon hai
jaise har fareb se dil door hai
duaayein kaam krti hai
shaq kabhi na tha is pr
bas yakeen hadd se zyada badh gaya ab
Soch kr dekhiye bas
karam ki baarish to har ek bande pr hai na
Comments
Post a Comment