Khud Ki Talaash
Paak dil ke mashware de deker
dekho main khud iski paribhasha bhool chala
Apni ek kami ko khud pr haawi na hone dein
is kaabil ban jaao ki wo ek kami
dosroo ko nazar tak na aaye
Sirf khud ka bhala sochne wale shaatir rangeen hm hai
anyaay pe chup rehne wale apraadi bade sangeen hm hai
ek lafz nahi nikaal paate kisi aur ke haq me
isliye log kehte hai ki bade mean hum hai
Gussa kahi ka utara kahi
naa chahte hue ye aadat badi buri hai mujhme
Apni kamiyo pr bhi rakhiye nazar
khud se to nazar aati nahi shukar hai ye doosre kaam kr dete hai
Apni kamiyo pr bhi rakhiye nazar
doosro me dhoondhker kya bhala hoga apna?
Comments
Post a Comment