Maa-Papa : Way of Jannat

"Maa-Papa:  Never Define in Words"

Ye lafz wo hai, jise main chahti hoon main rahoon ya na rahoon, mere baad tak ye lafz salamat rahe: Maa-Papa.
meri maa aur mere papa ka saaya mere baad tak rahe bas ye dua rehti hai....unke bina kabhi na rahoon... sada unka saath rahoo...koi aur saath ki zaroorat hi mehsoos nahi hogi phir kabhi....


Osheen Khan Quotes

"Bas ye dua maangti hoon,
Ae khuda!
jo haath mere liye sada duaaon me uthte hai
unhe mere baad tak salamat rakhna...."


Is duniya main har ek rishta apni ek ehmiyat rakhta hai, lekin maa ka rutba khuda ne hi sabse uper rakha hai, unhe har ek shakhs se alag banaker hmko ye ehsaas dilaana chaha hai ki maa ki jagah koi aur kabhi ni le sakta, is duniya me har ek alag rishta rakhta hai, kisi bhi rishte ko maa se badla nahi jaa sakta...
Osheen Khan Quotes
"Khuda se Poocha- kyo nahi duniya maa ke jaisi
khuda ne kaha- warna ehmiyat ka ehsaas hota kaise."

Sach to yahi hota hai, ki maa papa ke bina, zindagi sochi hi nahi jaati, bas khuda ka shukra karte hai ki maa baap ka saaya diya hmko, aur unki salamati ki dua...!

Osheen Khan Quotes
"Darr Lagta hai kehte hue ki
Maa baap ke bina zindagi ka kya hoga?"


Is Duniya main har ek ko kuch na kuch kehker use define kr dete hai, lekin id jahaan me maa ek aisi shakhs hai jiski misaal dene ke liye har ek alfaaz har ek lafz lagta hai ki kam hai....aakhir kya hai maa ye to nahi define kiya sakta hai aur na hi krne ki zaroorat hai shyaad...kyonki har ek is word ki ehmiyat se wakif hai poori tarah....!


Osheen Khan Quotes
"Kya karoon chup rehti hoon Misaal milti hi nahi maa ki
Dard ko pyaar me badalne ka dam rakhti hai dua maa ki"



Ab Agar baat kroon papa ki to wo wakai bhut kadak hote hai, lekin dil to unka bhi bachcho ke liye hi dhadkta hai, jo har pareshaaniuthaate hai bina shaq ke, lekin agar hamari chehre per ek shikan tak aa jaaye to unka dil sehem kr reh jata hai,
Haa aksar thoda irritate krte hhai, waise thoda zyada lekin us pal ke baad realize hota hai unka care karna wo pareshaan hona choti si baat per, khud hmko strong banate hai phir khud hi darte hai....per bachcho ke liye maa se kam bhi nahi hote hai..specially betiyon keliye.
betiyan papa ki laadli hpoti hai to pita bhi betiyon ke pyaare hote hai.



Osheen Khan Quotes
Ek zara se aason ne papa ke dil ko sehma diya


In dono lafz, Maa PAPA, inke bina to zindagi ka ek lamha bhi zindagi nahi lagta...
waise inke bina to zindagi hi nahi hoti...!


Osheen Khan Quotes
Har rishta Har jazbaat ki ek had hoti hai siwaaye waaliden ka apni ummat ke,
unka pyaar, unka saath behad hai,
jaisa rab ka ishq ho apni nakkashi se

Har ek rishta kabhi na kabhi keh hi jaaye ki main kitna karta hooon tum bhi to kro...har ek rishta apni hadd tak hota hai, tootne per toot hi jaata hai
lekin maa baap ka apni waliden se jo rishta hai wo kabhi nahi tootta, aur iska karan sirf waliden ka apni ummat ke iye jo pyaare hai wo hota hai.
warna bachche to aksar ise bhi tod dtee hai lekin parents ki mazboot pakad se ye rishta hamehsa kayam rehta hai aur inshaallah hamehsa kayam rahe poori duniya mein...!


Osheen Khan Quotes
To mom and dad: Sometimes i do get tied of spending most of my time to work
for successfull career.. but
one day
i'll make you proud...i promise...!

"Note:- Ye quote poori tarah mera nahi hai, maine ise ek padha tha aur isme thoda sa edit krke apne liye banaker share kiya, kuonki ye baat poori tarah se mujhse relate karti thi...!"

Aksar Bachche Busy ho jaate hai apni life me, Padhaai me, Career Me jis karan waqt nahi de paate, per ummed rakhte hai ki kuch waqt unhe de diya jaaye taki wo apne hi parents ke liye kuch to kar jaayeunka karz to chuka nahi sakte, lekin thodi sikhushi deker, khudko tasalli de sake... iske chalte bhut waqt sirf khud mehi mashroof reh jaate hai, aur whaa wo maa baap jab is baat ko samjh jaate hai...ye bhi ek naymat hai...!

Osheen Khan Quotes
Papa ab wo alam nahi ki aapka sahara har baat pr loon
ab to wo waqt hai ki aapkse sahare di gaddi ban sakoon
Mata Pita bahut si baatein bachcho ko sikhaate ha, unhe hum bachche accept krke apni life me use krne ki koshish karte hai, per kuch baatein aisi hoti hai jinhe hum na hi kabhi bhool paate haiaur un achchi baato ko apni life ka mantra bana lete hai, har problem me use use krte hai aur jeet hi paate hai. aise hi kuch baatein har ek bachche ko uski maa, papa ye parents ne kabhi na kabhi zaroor kahi hoti hai..!

"Note:- Agar Aapke parents ki bhi kahi baat jo aap apni life me use karte ho hamesha..yaad ho to comment me zaroor share kijiyega..! 

Osheen Khan Quotes
My father thought me Depend on yourself
even if i m with you

Osheen Khan Quotes
rehne do yahi kaskar pakad lo papa
isi hatheli me mera haath rehne do
mahi jaana us aane wale daur me
mujhe bas inhi palo me rehne do


Kabhi bhi is bachpan se door jaane ka mann nahi karta, is duniya me aage badhne ka mann nahi karta, lagta hai yahi isi pal me theher jaaye....aur bas khushi khushi beparwaah jeeye jaaye....!


Osheen Khan Quotes
Guldasta pariwaar ka
Jiske phool bhi hum aur kaate bhi hum,
hasi per sab khil jaate
dukhi hoon to sada murjha jaate
Pariwaar Ki Neev Mata Pita...Aur Bachche uske Phool...jab wo khush to mahoul khushnuma ho jaata aur jab wo dukhi to mahaul ka rang hi ud jata....bachcho ki pareshaani ma baap ki pareshaani ban jaati hai. lekin dekho maa papa ki pareshaani ka shikan bhi bachcho tak nahi pohach paati hai...!

Love MAa PAPA

Written By Osheen Khan


Comments

Popular Posts