Dil To Bachcha Hai Ji: Poetry By Osheen Khan (Oshi)
Dil to bachcha hai ji
Bahut koshish krte hai ki thoda samajhdaar ban jaaye
pr khushi hamesha pagalpan hi deta hai ji,
koshish kre to ban bhi sakte hai sensefull
haan bhai koshish krein to ban bhi sakte hai sensefull
lekin ye mann hai ab iska kya krein ji
duniya ki baatein ye dil sunta hi nahi hai
kyonki dil to abhi bhi bachcha hai ji
isme bas natkhta shararti, bachkaani baate hi bhari hai
badi badi baate kya hoti hai isemaloom hi nahi hai
bas chota sa sapna liye hue hai
aasmaan me udne ki khwaahish jagi hai
phir bhi udaan bharne ko abhi pankh kaha hai ji
kuch bhi kaho dil to abhi bachcha hai ji
bachcho se zyada paak maan kisi ka nai hai
bado me to bas jalan aur nafrat hi zyada bhari hai
is duniya me koun abhi tak perfect hua hai
kisi me kuch to kisi me kuch khaamiyan bhari hai
jeena hai to bachpan se seekho
bachpan bada sachcha hai ji
kya karein is bachpan se bhi bas isliye nahiseekh paate
kyonki dil to khud abhi bachcha hai ji
Written By Osheen Khan(Oshi)
Comments
Post a Comment