Kaabil A Life Journey Poetry By Osheen Khan (Oshi)
Kaabil
Badi mushkil se khud ko hausla diya hai
mushkil se kaabil banne ki raah per chali hoon
pehle kadam ko jab uthaya tha aage badhne ke liye
to meree saath apno ki aankho me kuch sapne pale the
jab mere safar me manzil ka raasta nazdeek aa raha hai to
apno ko kyo lag raha ki mera unse faasla badta jaa raha hai
maanti hoon zyada waqt nahi deti abhi
shuruaat hai meri
chahti hoon apno ke bharose ke saath unka saath bhi mile
duaayein hai mere saath unki
bas mujhe samjhne ke unhe jazbaat bhi mile
kuch samay apne kaam ko deker sambhalna aane lagega
tab mera zyada waqt to apno ke saath hi guzrega
abhi thodi takleef deti hoon sabko maanti hoon ye main
lekin jo khushi dena chahti hoon shayad koi jaanta hi nahi hai
main sab kuch krna chahti hoon apne liye bhi aur apno ke liye bhi
main jinhe jaanti nahi
kuch karne ki chaah rakhti hoon un anjaano keliye bhi
bas shyaad khud ko thoda samjhdaar banana hai
mukaam haasil kr rhi hoon
lekin kuch peeche nahi chodna chahti
khud chal rhi hoon lekin kisi se mooh nahi modna chahti
kya karein? hai hi itne lajawaab hum
apno ki ummmedein badh rahi hai
ki ye sab kuch ek saath kar sakti hai
jab abhi itna kuch kr rahi hai
dua hai har kaam ke saath samajh sakoon
kuch waqt khud ko de doon to kuch waqt apno ko bhi de sakoon
Written By Osheen Khan (Oshi)
Comments
Post a Comment