Mushkil Nahi Thi: Life Poetry By Osheen Khan (Oshi)

 Mushkil Nahi Thi



    khayaalo me doobe hue ek zabardast khyaal aaya tha

kya manzil ki raah per mera ek kadam bhi bad paaya tha

kyonki suna tha har kadam per thokre hoti hai

tab saabhi ne apna mukaam paaya tha

bas zehen me yahi baat chal rahi thi

mere safar me mushkilo ka daur kab aaya tha

lagne laga tha shayad safar shuru hi nahi kiya maine

na hi manzil kimaur koi pehla kadam badhaaya tha

isliye koi mushkil nahi thi thi

aur na hi wo thokro ka daur aaya tha

kisi ne ye baat kuch is tarah jhutla diya

ki uska har ek lafz mere zehen me aa gaya

wo boli ki thokre to tumko hamesha milti rahi thi

lekin tum usko nazarandaaz karke hamesha chali thi

kabhi giri thi tum

to kabhi uth bhi khadi hui thi

raah per to tumne gehraai bhi na di thi

tumko to bas apni manzil ki padi thi

unme chunautiyaan bhi thi

jinse tum bakhoobi ladi thi

ye nazariyaa hi hai tumhara

ki tumhaari raah me koi mushkil nahi thi

Written By Osheen Khan( Oshi)

Comments

Popular Posts