Ye Sapne A Poetry By Osheen Khan (Oshi)
Ye Sapne
Ye sapne jo neende uda dete hai
kyo bhala ye jagi aankho me aate hai
koi inhe keh de na yaar yooun khuli aankho me na aaya krein
bas band palko me meethi muskaan ke saath chhaya krein
sochte sochte subah ho jaati hai
you hi saari raat
khwaab me nikal jaati hai
thakan se aankhen jab band hoti hai seher me
tab ye dopehri me hi khul paati hai
phir bhala raat ka khwaab khuli palko ne jo kabhi dekha tha
usi yakeen krne ka adha waqt sote me hi guzar gaya
din bhar bas yahi afsos reh jaata hai
dil o dimaag isi baat pr khunnas khata hai
na kuch kiya na kuch kar paaye
jo saare khwaab dekhe the wo hakikat na ban paaye
ek ek karke aise hi din guzarte rehte hai
kambhakhat ye sapne aise jo neende uda dete hai
Written By Osheen Khan (Oshi)
Comments
Post a Comment