Main kon hoo? A Poetry By Osheen Khan "Oshi"

 Main kon hoo?



Kabhi rooi jaisi naram si
Kabhi aag jaisi garam si
Kabhi pyaar liye aankho me
Kabhi gusse ke jwala me bhasm si
Pal me khel pasand aate bachkaane
To kabhi duniya ke khel se jaati main sehem si
Kabhi dosti ki raah me aankh band kr chalti rahi
To kabhi jaagkr uski khud se pehchaan kraai si
Jaana to laga apne hai sab, bhala kon bura nahi is duniya me
Dil se nikaal saare ranj o gam mann ne phir apnaaya usko jaise ek bhalaai si
Pal me sochoo ye thik ni mere liye
Agle pal kahoo are yahi to hai jo hai mere liye
Main kya hoo, kaisi hoo, kon hoo, khud bhi nahi jaanti,
Kabhi rhoon mastmaula to kabhi rhe mujhme ek sharam si
Aur sach kahoo to ab janna bhi ni chahti
Allah ne di hai zindagi jo hai uske meher si
Har pal har waqt badalti hai to badle
Main sada rahoongi, khushnuma seher si

Written By Osheen Khan "OShi"

Comments

Popular Posts