Choti Choti Khwahishein Poetry By Osheen Khan

 Choti Choti Khwahishein🍁


Kisi ne kabhi kaha tha
kitni choti choti khwahishe hai tumhari
wakai khwahishe bhut choti hai
dikhawe ki duniya me rehna pasand ni hai
bas zaroorat ki cheeze hone per hi pursukoon ho jaati hoo
teen jod sandle hone per chuathe jod khareedne ka tuk nahi maanti
us chauthe jod ke kharch ko nek raah me kharch krna jaanti hoon

koi lakho wali two wheeler ki khwahish nahi rehti
bas safar tay krne ke liye lambe samay tak chalne wali gaadi chahti hoo
koi BMW ki bhi khwahish nahi hai
kadi dhoop se bachaane wali ac aur gaano ke saath bas chaar pahiya gaadi chahti hoo
lakho ka i phone nahi chahiye 15, 20000 wala samsung hi kaphi hai
achchi khasi photo aa jaye bas
itne pixels hi kaphi hai
mahalo ka khyaal nahi krti jahaan ek jagah se doosri jagah jaane me bhi mehnat lag jaaye
bas kuch kamro ka ghr ho jaha zaroorat ki har wo cheez aaye
khaas karam hai cheeze khud chalker aati hai
khud ka kharch khud per ni krti
maza nahi aata na usme
uske liye to ghrwale hi kaphi hai
khud koasal khwabo me kjharch krna chahti hoo
dikhwatai khwahisho me nahi
isliye ye khwahisein ek daayre tak hi hoti hai
bas ye choti choti khwahishe hi to hoti hai

©OsheenKhan


Comments

Popular Posts