Poetry By Osheen Khan "Manzil Ka Safar"
Manzil Ka Safar
Badi muhskil se khud ko hausla diya hai
mushkil se kaabil banne ki raah pr chali hoo
pehle kadam ko jab uthaya tha aage badhne ke liye
tab mere saath apno ki aankho me kuch sapne pale the
jab mere safar me manzil ka rasta nazdeek aa raha hai
to apno ko kyo lag raha ki mera unse faasla badhta jaa raha hai
manti hoo zyada waqt nahi deti abhi shuruaat hai
kuch samay apne kaam ko deker sambhalna aane lagega
tab mera zyada waqt to apno ke saath hi guzrega
main chahti hoo apno ke bharose ke saath,unka saath bhi mile
duaayein hai mere saath unki bas
mujhe samajhne ke unhe jazbaat bhi mile
abhi thodi takleef deti hoon main sabko, manti hoon ye main
lekin jo khushi dena chahti hoo, shayad koi janta hi nahi hai
main sab kuch krna chahti hoon, apne liye bhi aur apno ke liye bhi
main jinhe jaanti nahi kuch krne ki chah rakhti hoon un anjaano ke liye bhi
bas shayad khud ko aur samajhdar banana hai
makaam hasil kr rhi hoon lekin peeche kuch chhodna nahi chahti
khud chal rhi hoon lekin kisi se mooh modna nahi chahti
kya krein, hai hi itne lajawaab hm
ki apno ki ummeedein badh rhi hai
ki ye sab kuch ek saath kr sakti hai
jab abhi itna kuch kr rhi hai
dua hai har kaam ke saath jazbaato ko bhi samajh sakoon
kuch waqt khud ko doon to kuch apno ko de sakoon....!
Comments
Post a Comment