Guroor poetry by osheen khan
Tum oonchaai pr ho to shukar karoguroor kyo karte ho
zameen se naata hai jo use yaad rakho
uruuj me kyo rehte ho
kai dafa to bas dikhawa hi krte ho
ki tum bahut kaamyaab ho
asliyat ko dikhaawe me tabdeel kyo krte ho
waise baat gehri hai ye pr
jitna insaan dikhaata hai na, utna usmehota nahi hai
aur jab insaan me waqai kuch baat hoti hai na
to wo bahut naram hota hai
doosre ke dil ko samajhta hai
aur kisi doosre ko kam ehsaas nahi karata
kyonki use khud pata hota hai ki wo kis mukaam pr hai
kisi aur ko jatana use zaroori nahi hota
-osheen khan
Comments
Post a Comment