Manana nahi aata by osheen khan
Manana aata nahi hame
ek guzarish hai roothna mat hmse
manana aata nahi hame
chila lena, jhagad lena, poore ek din bhale se baat na karna, pr
baad me galti bata dena hame
haan, wo main aaker sorry bhi na kahoon shayad,
pr galti ka ehsaas hoga apni mujhe
khud se aaker jab main baat krne lagoon tumse
Samajh lena manane hi aayi hoon tumhe
sach na mujhse iqraar hota hai ishq ka na maafi bhare alfaazo se maafi maangna aata hai
na ye chahti hoon ki tum kabhi soory bolo
ye to khali shabd hi hote hai
inka ki mol nahi hamari nazro me
dil saaf kr lena anmol hai
aise lafzo ka istemaal nahi aata hame
please roothna mat hmse
manana nahi aata hame...!
Agar tumhari khwahish hogi roothne ki
aur tum chahte hoge ki main manaaon tumhe
agar tumhe ye sab pyaara lagtahoga, aur tum chaho
ki main manaker pyaar jataaon tumhe
to karoongi dua ae khuda ye hunar bhi de de mujhe
tum jab jab rootho tumhe manane ka sabab bhi de de mujhe
koshish kroongi bas isliye kyonki tumko achcha lagta hoga
pr jaldi maan jaana haa bas, warna soch lena main roothi to bhut bura hoga
waise mera roothna to aisa hai jaise turant maan jaana
bhaav zyada nahi khaati
bas tum bhi muskraker maan jaana
zyada mat satana hame
wo kya hai na manana aata nahi hame..!
-osheen khan
Comments
Post a Comment